Saturday, October 10, 2009


 इतिहास परीक्षा थी उस  दिन, चिंता से ह्रदय धड़कता  था 
Ho gya apsakun chalte hi , aur bayan nayan fadkta tha
Maine sawal jo yaad kiye , ve adhe kewal yaad huye
unme se kuchh school talak, aate-aate barbad huye
Dus minut ho gaye late are , yah chaprasi ne batlaya
Mai mail train ki tarah daudta , kamre ke bhitar aaya
Parcha hathon me pakad liya, dekha usko khud jhoom gya
Padhte hi chhya andhkar , chakkar aaya sir ghoom gya
Fir ankhe mund kar baith gya , bola Bhagwan daya kar do
Mere dimag me en prashno ke, uttar thoos-thoos kar bhar do
Aakash tod ambar se , aayi gahari awaj ek
"Re murkh" vyarth kyon rota hai , Tu ankh utha kar edhar dekh
Mere antar ke dwar khule copy per kalam chali chanchal
Jaise khet ki chhati per , chalta ho halwahe ka Hal
Maine likh diya Panipath ka yudha ,hua tha bhadaw me
Japan jermeny bich hua, 1857 me
Rajiya begam ne suri ko, ran me das bar haraya tha
Babar ne Hind mahasagar, Amrica se mangwaya tha
Likh diya Gautam Budha to, Gandhi ji ke chele the
Jo bachapan me unke hi sang, ankh michauli khele the
Ho gya parikshak pagal sa , meri copy ko dekh-dekh
Bola en sare bachcho me hai , honhar bas yahi ek
Auron ki copy fenk diya ,aur mere uttar chhant liya
Zero number dekar baki, sara number kat liya
Zero number dekar baki, sara number kat liya